mere khayal se aage tera nishana pada samand-e-shauq pe ek aur taziyana pada abhi to ishq o nazar ke hazar pahlu the gale hamare kahan se gham-e-zamana pada parae nur se main kasb-e-faiz kya karta asar pada hai kabhi kuchh to ghaebana pada mujhe bhi qarz chukana tha us ka ab ke baras ghalat nahin jo mera dasht mein thikana pada kisi ke hisse mein aai khirad ki saffaki kisi ke hath gham-e-ishq ka khazana pada raha na koi yahan sar-ba-sar tahi-daman sabhi ke zarf mein maqdur phir zamana pada hazar aankh dikhate rahe adu 'nami' ghazal ghazal hi rahi farq ek zara na pada