yaad rakhna ek din teri zaban tak aaunga khamushi ki qaid se harf-e-bayan tak aaunga tu yaqin ke aaine mein dekhna chahega aur main faqat khush-fahmi-e-hadd-e-guman tak aaunga chhu ke tere zehn ke khamosh taron ko kabhi le ke ek tufan tere dil ke makan tak aaunga phir tere ehsas ke shoalon mein dhal jaegi raat main ubhar kar jis ghadi ashk-e-rawan tak aaunga dastaras se tir ban kar bhi nikal jaunga phir jab kabhi main tere abru ki kaman tak aaunga sard aahon mein simat kar shiddat-e-ehsas se qalb ki nazuk ragon ke darmiyan tak aaunga itna mat socho ki ye nazuk ragen phat jaengi main tumhaare zehn mein aakhir kahan tak aaunga