mere kuchh bhi kahe ko katta hai wo apne daere ko katta hai main is bazar ke qabil nahin hun yahan khota khare ko katta hai udas aankhen pahanti hain hansi ko phir aansu qahqahe ko katta hai na mujh ko hain qubul apni khataen na wo apne likhe ko katta hai tawajjoh chahta hai gham purana so rah rah kar nae ko katta hai wahi aansu wahi mazi ke qisse jise dekho kate ko katta hai