tasawwur mein ye kaun aaya zaban par kis ka nam aaya nashat-e-ruh ka har ek nafas le kar payam aaya wafur-e-be-khudi mein ek aisa bhi maqam aaya na duniya mere kaam aai na main duniya ke kaam aaya aqidat se jabin jhuk jhuk gai rah-e-mohabbat mein jahan un ka khayal aaya jahan un ka maqam aaya zamane ko to duniya-bhar ki khushiyan bakhsh din tu ne mere hisse mein aaya bhi to soz-e-na-tamam aaya raha kuchh hosh bhi baqi to un ke husn-e-zeba ka agar aaya to lab par be-khudi mein un ka nam aaya gham-e-dauran gham-e-duniya gham-e-hasti ghalat thahre jahan ki gardishen thahrin jahan gardish mein jam aaya nigahon par jamal-e-dost parda ban ke chhata hai sambhalna dekhna 'arif' bada mushkil maqam aaya