mere lab par kabhi tu ban ke dua bhi aai tujhe ai aah meri baat bana bhi aai un se kuchh ye shafaq-e-sham laga bhi aai ki shab-e-wada jo aai to hina bhi aai itne din aae hue mujh ko qafas mein guzre jhankne ko kabhi gulshan se hawa bhi aai tu hamesha rahi qatil ke kamar mein ai tegh tere sadqe tujhe qatil ki ada bhi aai dard-e-furqat ki aziyyat ka na puchho kuchh haal aaj ghabra ke kai bar qaza bhi aai bhulta hi nahin kahna ye kisi kafir ka tujhe bhule se kabhi yaad-e-khuda bhi aai uth rahi thin usi din ke liye nichi nazren chutkiyan qabr mein lene ko haya bhi aai hashr ke din bhi rahi baat wahi aankh wahi jhute wadon se tujhe sharm zara bhi aai shama ke waste thi jumbish-e-daman kafi un ke daman se lagi baad-e-saba bhi aai aa gaya shukr-e-zaban par jo kiya khum khali pet apna jo bhara yaad-e-khuda bhi aai aae maikhane mein jab masjid-e-jame se 'riyaz' sath hi aap ke qible se ghata bhi aai