rawish-e-kar-e-mohabbat ke sabab jaanta hun kis taaqub mein hain ahbab main sab jaanta hun ja-ba-ja ghar mein ye khodi hui mitti hai subut kis ko kitni hai khazane ki talab jaanta hun main ne roghan ki tijarat to nahin ki lekin shahr ke sare charaghon ke nasab jaanta hun mujh ko aata hai sitaron ki likhawat padhna harf-dar-harf tera nama-e-shab jaanta hun kya karun aur samajh kar ki tere bare mein jitna malum hai utna bhi main kab jaanta hun lakh na-waqif-e-urdu hun magar ai naqid guftugu kar sakun itna to adab jaanta hun