mere lafzon se chali baat mere lafzon ki tai hui mujh se mulaqat mere lafzon ki main ne ye dil ke khazane se churae hue hain kar nahin sakta koi baat mere lafzon ki sher-dar-sher bithae gae masnad par sher yun saja di gai baraat mere lafzon ki us ne taswir ko taswir kiya aur le li selfi ek ek mere sath mere lafzon ki nazm par nazm sunane ki hui farmaish yun pazirai hui raat mere lafzon ki meri tahrir pe mazmun likhe jaane lage sar pe padne lagi barsat mere lafzon ki bhid ye sar pe nahin apne bitha sakti main khinch len aap bhale lat mere lafzon ki tohfatan tin kitaben use bhejin main ne ho qubul us ko ye saughat mere lafzon ki is siyahi se ubharti hai sawere ki kiran dhalne lagti hai jahan raat mere lafzon ki pairahan us ne mohabbat ke maani ko diye mala pahnai lage hath mere lafzon ki main ne ehsas ki bhatti se guzara hua hai tum samajhte nahin ho baat mere lafzon ki taj sar par hai magar panw mein baithi hui hun mujh se unchi hai 'sahar' zat mere lafzon ke