mere mizaj pe diwana-war barsa hai

mere mizaj pe diwana-war barsa hai
kabhi sukun kabhi iztirar barsa hai

ye surkh fasl yunhi aankh mein kahan ugti
hamare dil pe bahut intizar barsa hai

hadon mein jis ki ubharne laga koi chehra
kisi ka yaad ka aisa hisar barsa hai

kisi zamane mein bedariyon ki rim-jhim thi
hamare bakht pe ab ke khumar barsa hai

phir is ke baad bahut habs-e-jabr phail gaya
zara si der agar ikhtiyar barsa hai

mere khayal ki poshak itr-bez hui
kisi ke jism pe khul kar nikhaar barsa hai

isi liye to ye dasht-e-fareb sabz hua
kahin khulus kahin eatibar barsa hai

dhule hue jo ye lahje hue hain matiyale
us aabshaar pe ek regzar barsa hai

ghurur bah ke nasheb-e-ana mein dub gaya
falak se aise koi khaksar barsa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close