nind ke zindan mein koi rasta banne laga khwab imkan ke dariche ki hawa banne laga jab mitae aur abjad aajizi ke hath ne rafta rafta dil mera harf-e-dua banne laga waqion ki dor mein kuchh der girhen dal kar waqt pichhe hat gaya aur hadisa banne laga dusron se ek jaisa fasla rakhte hue main talluq ke safar mein daera banne laga zindagi ki aas ehramon mein chakrane lagi bandagi karta hua but jab khuda banne laga aks-e-imkan jam gaya ummid ki diwar par ja-ba-ja dar ki jagah ek aaina banne laga parwarish is dard ki mujh ko bahut mahngi padi dekhte hi dekhte jis ki ghiza banne laga waqt ki taswir to puri na ho pai magar ek nazara aur manzar se wara banne laga phir se aain-e-hawa par guftugu hone lagi sans lene ke liye kuliya naya banne laga