naqsha aisa hai mere shamshad ka rang jamta hi nahin bahzad ka hausle dekho ki murghan-e-chaman dhundhte phirte hain ghar sayyaad ka har jafa-e-yar par hai sabr-o-shukr hai wazifa harche baada-baad ka jis ki aabaadi ujadi aap ne nam tha dil us kharab-abaad ka ilm painda hai fani hai hunar nam likhne se raha haddad ka faiz-e-'nasikh' 'rashk' mein kyunkar na ho kalbud hai khak-e-faizabad ka