nahin katta hai ye maidan-e-bala wadi-e-khizr bayaban-e-bala mustaid zulf meri ranj pe hai hai muhayya sar-o-saman-e-bala mar gaya gesu-e-pur-pech mein dil chhut gaya qaidi-e-zindan-e-bala haar phulon ki hain choti mein ayan kya hi phula hai gulistan-e-bala bole bikhra ke wo zulfen apni hum hue silsila-jumban-e-bala unchi choti hai ghazab ai yam-e-husn kya hi uttha hai ye tufan-e-bala kan ki lau teri zulfon mein nahin hai charagh-e-tah-e-daman-e-bala garmi-e-rukh se araq-rez hai zulf hai guhar-bar ye naisan-e-bala dil mere sine mein hai mahw-e-mizha hai yahi sher-e-niyastan-e-bala