sada-e-muzhda-e-la-taqnatu ke dhaare par charagh jalte rahe aas ke minare par ajib ism tha lab par ki panw uthte hi main khud ko dekhta tha arsh ke kinare par ajib umr thi sadiyon se rahan rakkhi hui ajib sans thi chalti thi bas ishaare par wo ek aankh kisi khwab ki tamanna mein wo ek khwab ki rakkha hua sharare par isi zamin ki jaanib palat ke aana tha utar bhi jate agar hum kisi sitare par mata-e-harf kahin be-asar nahin 'shahbaz' ye kaenat bhi hai kun ke istiare par