sang-e-chehra-numa to main bhi hun dekhiye aaina to main bhi hun baiat-e-husn ki hai main ne bhi sahab-e-silsila to main bhi hun mujh pe hansta hai kyun sitara-e-subh raat bhar jagta to main bhi hun kaun pahuncha hai dasht-e-imkan tak waise pahuncha hua to main bhi hun aaina hai sabhi ki kamzori tum hi kya khud-numa to main bhi hun mera dushman hai dusra har shakhs aur wo dusra to main bhi hun