wal-asr zamana mere matlab ka nahin hai ye aaina-khana mere matlab ka nahin hai kahti hain na la paengi ye tab-e-nazara aankhon ka bahana mere matlab ka nahin hai aai hun tere waste jannat se zamin par warna ye thikana mere matlab ka nahin hai is mein hai mera sanwi kirdar likhaari tera ye fasana mere matlab ka nahin hai ek shakhs ki khatir hai ye sab milna-milana waise wo gharana mere matlab ka nahin hai ji khub laga wahshat-e-bedari-e-shab mein din khwab suhana mere matlab ka nahin hai jab mujh se tere bare mein puchhega zamana kah dungi diwana mere matlab ka nahin hai ehsas ka 'nilam' jo nahin tere bayan mein lafzon ka khazana mere matlab ka nahin hai