mere qarib hi mahtab dekh sakta tha gae dinon mein ye talab dekh sakta tha ek aise waqt mein sab ped main ne naql kiye jahan pe main inhen shadab dekh sakta tha ziyaada der usi naw mein thaharne se main apne-ap ko gharqab dekh sakta tha koi bhi dil mein zara jam ke khak udata to hazar gauhar-e-nayab dekh sakta tha kahaniyon ne meri aadaten bigad di thin main sirf sach ko zafar-yab dekh sakta tha magar wo shahr kahani mein rah gaya hai dost! jahan main rah ke tere khwab dekh sakta tha