mufahamat na sikha jabr-e-narawa se mujhe

mufahamat na sikha jabr-e-narawa se mujhe
main sar-ba-kaf hun lada de kisi bala se mujhe

zaban ne jism ka kuchh zahr to ugal dala
bahut sukun mila talkhi-e-nawa se mujhe

racha hua hai badan mein abhi surur-e-gunah
abhi to khauf nahin aaega saza se mujhe

main khak se hun mujhe khak jazb kar legi
agarche sans mile umr bhar hawa se mujhe

ghiza isi mein meri main isi zamin ki ghiza
sada phir aati hai kyun parda-e-khala se mujhe

main ji raha hun abhi ai zamin-e-adam-khor
abhi to dekh na tu itni ishtiha se mujhe

bikhar chuka hun main ab mujh ko mujtama kar le
tu ab samet bhi apni kisi sada se mujhe

main mar raha hun phir aae sada-e-kun-fayakun
banaya jae mita ke phir ibtida se mujhe

main sar-ba-sajda hun ai 'shimr' mujh ko qatl bhi kar
rihai de bhi ab is ahd-e-karbala se mujhe

main kuchh nahin hun to phir kyun mujhe banaya gaya
ye puchhne ki ijazat nahin khuda se mujhe

main reza reza badan ka utha raha hun 'adim'
wo tod hi to gaya apni iltija se mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close