yun gulshan-e-hasti ki mali ne bina dali phulon se juda kaliyan kaliyon se juda dali sar rakh ke hatheli par aur lakht-e-jigar chun kar sarkar mein lae hain arbab-e-wafa dali ruya kahun main is ko ya muzhda-e-bedari ghul hai ki naqab us ne chehre se utha dali allah-re tasawwur ki naqqashi o nairangi jab ban gai ek surat ek shakl mita dali saqi ne sitam dhaya barsat mein tarsaya jab fasl-e-bahaar aai dukan utha dali khun-e-dil-e-ashiq ke us qatre ka kya kahna duniya-e-wafa jis ne rangin bana dali 'bedam' tere girya ne tufan utha dale aur nalon ne duniya ki buniyaad hila dali