mere sheron mein fankari nahin hai ki mujh mein itni hushyari nahin hai dawa-e-maut kyun lete ho itni agar jine ki bimari nahin hai badan phir se uga legi ye mitti ki main ne jaan abhi haari nahin hai mohabbat hai hi itni saf-o-sada ye meri sahl-angari nahin hai ise bachchon ke hathon se uthao ye duniya is qadar bhaari nahin hai main us patthar se takraata hun be-kar zara bhi us mein chingari nahin hai na kyun sajda kare apne buton ka ye sar masjid ka darbari nahin hai gaya ye kah ke mujh se ishq ka rog ki tujh ko shauq-e-bimari nahin hai hamara ishq karna jism ke sath ibaadat hai gunahgari nahin hai ba-rah-e-jism hai sara tasawwuf badan sufi hai braham-zhaari nahin hai ye koi aur hoga 'farhat-ehsas' nahin ye bhi meri bari nahin hai