wo ja chuka hai to kyun be-qarar itne ho mohabbat us se karo jis ko bhul sakte ho nishan-e-manzil-e-jaan gar nahin mila na sahi chalo safar to kiya hai kahin to pahunche ho tamam umr na milne ka hausla hi sahi tum apne dil mein koi aarzu to rakhte ho safar bhi tum ne kiya aaftab ki surat abhi tak apne hi naqsh-e-qadam pe chalte ho jo raushni hai dilon mein ata tumhaari hai charag tum sa nahin tum charag jaise ho dilon ke soe hue gham abhi to jage hain zara si der to baitho abhi to aae ho tumhaare lahje ka ye zer-o-bam qayamat hai kabhi rafiq kabhi na-shanas lagte ho khuda suna hai rag-e-jaan ke pas rahta hai magar tum aur bhi nazdik aate jate ho tamam din rahi sae ki justuju 'shahzad' hui hai raat to aankhen talash karte ho