paya koi shajar na koi aasra laga wo dhup thi ki apna hi saya khuda laga ghabra ke baam-o-dar ke sulagte sukut se jhanka hi tha gali mein ki sang-e-sada laga jhadi jo aag chehron ki rangat badal gai us ke dukhon ka zikr sabhi ko bura laga dekha use to aks-e-tamanna chamak uthe is shahr-e-sang mein wo mujhe aaina laga sahra ko der se thi kisi abr ki talash paya mujhe to wo mere sine se aa laga kitna badal gaya hai wo zulfen tarash kar dekha jo dur se to koi dusra laga chhute hi us ko ghuncha-e-ehsas khil uthe 'rashid' thake badan ko wo mauj-e-saba laga