mere siwa bhi koi giraftar mujh mein hai ya phir mera wajud hi bezar mujh mein hai meri ghazal kisi ke takallum ki bazgasht ek yar-e-khush-kalam-o-tarah-dar mujh mein hai had hai ki tu na meri aziyyat samajh saka shayad koi bala ka adakar mujh mein hai jis ka wajud waqt se pahle ki baat hai wo bhi adam se barsar-e-paikar mujh mein hai tu hai ki teri zat ka iqrar har-nafas main hun ki meri zat ka inkar mujh mein hai tujh se na kuchh kaha to kisi se na kuchh kaha kitni shadid khwahish-e-izhaar mujh mein hai main kya hun kaenat mein kuchh bhi nahin hun main phir kyun isi sawal ki takrar mujh mein hai jis din se main visal ki aasudgi mein hun us din se wo firaq se do-chaar mujh mein hai main hun ki ek pal ki bhi fursat nahin mujhe wo hai ki ek umr se be-kar mujh mein hai