mere subut bahe ja rahe hain pani mein kise gawah banaun sara-e-fani mein jo aansuon mein nahate rahe so pak rahe namaz warna kise mil saki jawani mein bhadak uthe hain phir aaankhon mein aansuon ke charagh phir aaj aag laga di gai hai pani mein hamin the aaise kahan ke ki apne ghar jate bade-badon ne guzari hai be-makani mein ye be-kanar badan kaun par kar paya bahe chale gae sab log is rawani mein visal o hijr ki ek ek charagh the donon siyah ho ke rahe shab ke be-karani mein bas ek lams ki jal jaen sab khas-o-khashak ise visal bhi kahte hain khush-bayani mein kahani khatm hui tab mujhe khayal aaya tere siwa bhi to kirdar the kahani mein na chahiye mujhe wo aasman jo mera na ho main khush hun apni hi mitti ki aasmani mein