phir khabar is fasl mein yaro bahaar aane ki hai ab ba-juz zanjir kya tadbir diwane ki hai khak kar dewe jala kar pahle phir tiswe bahae shama majlis mein badi dil-soz parwane ki hai bhed zulfon ka bayan karne mein ho jata hai gung warna kahne ko jo puchho sau zaban shane ki hai shaikh us ki chashm ke goshe se goshe ho kahin us taraf mat jao nadan rah mai-khane ki hai hausla tangi kare hai shahr ke kuche hain tang ab hawas dil mein hamare sair virane ki hai chahiye kya baat kahte ho jahan mein qatl-e-am der munh se ab tumhaare hukm farmane ki hai ji mein aata hai ki 'hatim' aaj us ko chhediye muddaton se dil mein hasrat galiyan khane ki hai