tifl ne kuchh bhi nahin socha mila kar likh diya

tifl ne kuchh bhi nahin socha mila kar likh diya
zindagi aur maut ko bilkul barabar likh diya

pahle to ek kaghzi kashti banai aur phir
par jaane ke liye us par muqaddar likh diya

kal jahan par dil likha tha wo jagah kamzor thi
main ne dil kata wahan se aur patthar likh diya

mere hathon mein mashaqqat ki lakiren khinch kar
jaane kya socha ki mathe par sukhnawar likh diya

jab sawal aaya ki ek mazmun shair par likhen
to jawaban amn ka shair payambar likh diya

january ta june ki mehnat mashaqqat ne janab
waqt se pahle hi chehre par december likh diya

zindagi tere taaruf mein bhala aur kya likhun
main ne to har waqia har ek manzar likh diya

kar rahe the apni apni dastanen sab raqam
ek jogi ne to kuze mein samundar likh diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close