mujh se na jaane kaun si aisi khata hui shayad wafa ke jurm mein mujh ko saza hui ye gham nahin ki aah meri na-rasa hui un ki jafa hi meri wafa ka sila hui guzra na zindagi mein koi din sukun se ya-rab mujhe hayat ye kaisi ata hui manzil pe aarzuon ne daman chhuda liya hasrat kabhi bhi dil se na mere juda hui ummid-o-gham bhi rahte hain dil mein alag alag kab dard-o-arzu ki kasak ek-ja hui har roz mai-kadon mein rahi haziri meri zahid teri namaz to aksar qaza hui gumrahiyon mein itni lagin mujh ko thokaren be-rah-rawi aaj meri rah-numa hui 'salik' mere sabab se hua dusron ka nam ruswai jab junun mein meri ja-ba-ja hui