mere wajud abhi na-tawan nahin hona phir is ke baad ye mausam jawan nahin hona kise khabar thi ki mahshar ka hoga ye bhi rang zamin ka hona magar aasman nahin hona hamein khabar hai ki wahshat thikane lagni hai hamara josh abhi raegan nahin hona wajud apna hai aur aap tai karenge hum kahan pe hona hai hum ko kahan nahin hona ab is ke baad sakat kuchh nahin rahi mujh mein ab is se aage ka qissa bayan nahin hona hamari basti ka dukh hai hamin se puchho miyan ki qabren honi magar aastan nahin hona maqam-e-shukr hai mere liye ki mere murid ye tera aaj mera qadr-dan nahin hona main khandan ka sab se bada madari hun tamasha hota rahega yahan nahin hona bas itni duri mayassar rahegi donon ko ki fasla bhi koi darmiyan nahin hona ajab azab tha ki apne shahr-e-arman mein hamare waste ja-e-aman nahin hona ye zulm hai ki munadi ho imtihanon ki phir is ke baad koi imtihan nahin hona ajab supurdagi-e-jaan ka marhala tha 'ali' hamare hone ka hum ko guman nahin hona