naqsh-e-yaqin tera wajud-e-wahm bujha guman bujha kar-e-habib ke tufail rauzan-e-raegan bujha fard-e-siyah ko meri nok-e-sinan pe lae the un ki nigah pad gai arsa-e-imtihan bujha mast-rawi ke darmiyan kaun qadam qadam gine mishal-e-dil kahan jali shoala-e-jaan kahan bujha mere junun ka silsila marhala-war ho gaya pahle zamin bujh gai baad mein aasman bujha razm-e-gah-e-hayat mein main na utar saka kabhi ishq-e-zamana-khez mein sara yahan wahan bujha shauq ke dasht kho gae shahr sarab ho gae barish-e-zar hui bahut halqa-e-tishnagan bujha 'haqqi'-e-dil-girafta ke bas mein na jaane kab nahin hijr mein shad-kaam tha wasl ke darmiyan bujha