na fasle koi nikle na qurbaten niklin wafa ke nam se kya kya siyasaten niklin khuli hai wahshat-e-alam pe aaj kakul-e-yar kuchh aur daur-e-khirad teri nisbaten niklin hazar hathon ke paiman-e-nau ka markaz hai hawa ke hath mein na-did taqaten niklin sipah-e-ishq jahan khandaqon mein jalti thi wo mod kat ke aakhir mohabbaten niklin faza-e-taza-nafas dilbari ki aai hai nai nai gham-e-dil ki masafaten niklin sharar-e-mahr-o-nam-e-abr ke taghayyur tak visal-e-dost mein kya kya nazakaten niklin wahi ki rashk-e-raqiban se tira-tar hai jo zulf kal ittifaq se us ki hikayaten niklin wo harf-e-shak hai ki ahl-e-yaqin nahin samjhe dimagh-e-kufr se kya kya haqiqaten niklin kamand-e-sariq o mar-e-siyah mein aakhir ye kis ka hath tha ye kis ki hikmaten niklin visal-o-hijr se kya ishq se sambhal na sakin teri nigah mein aisi nadamaten niklin nigar-khane ke naqsh-o-nigar kuchh bhi na the junun ki aankh mein ghaltida suraten niklin