dosto durd pilao ki kadi raat kate mai mein kuchh aur milao ki kadi raat kate aansuon se ye kadi raat nahin kat sakti aaj mai-khana lundhao ki kadi raat kate naghme bazar mein mahnge hain to kya gham yaro nauhe ko naghma banao ki kadi raat kate zist aur maut asatir-e-kuhan hain yaro naya afsana sunao ki kadi raat kate koi mashhud hai ab aur na koi shahid aur agar hai to dikhao ki kadi raat kate ye bhi iman hi ka dusra rukh hai logo kufr ko din banao ki kadi raat kate ye andhera ye samundar ye talatum aao aao aur mujh mein samao ki kadi raat kate