tu hi anis-e-gham raha nala-e-gham-gusar-e-shab

tu hi anis-e-gham raha nala-e-gham-gusar-e-shab
yas-pasand jab hua bismil-e-intizar-e-shab

rang-e-shikast kyun na ho haal-e-umid-war-e-shab
tu hi to ishwa-gar hua bais-e-intishaar-e-shab

shauq-e-liqa-e-ru-e-yar chashm-ba-rah-e-intizar
aah-e-sahar se ja mila dida-e-ashk-bar-e-shab

dard-e-shakeb-soz hai karb wahi hanuz hai
dekh na ho wo bewafa aaj kahin nisar-e-shab

lail-o-nahaar sazgar apne kabhi nahin hue
dekhte kash ai nigar wada-e-ustuwar-e-shab

bahr-e-khuda kabhi to kar shad shahid-e-shauq ko
roz-e-said hai wahi yar jo tu ho yar-e-shab

waqfa-e-umr ek dam haif hai wo bhi sarf-e-gham
kis ko hai e'timad-e-roz kis ko hai e'tibar-e-shab

din ko khayal wasl ka raat ko dard-e-hijr hai
shaghl wo roz ka hua aur ye karobar-e-shab

ye shab-e-mahtab hai saf hamein jawab hai
mah-laqa hain muntazir mil ke dikha bahaar-e-shab

hasrat-e-ishtiyaq ne aaj kiya shahid-e-hijr
mere dil-nigar ka dekh to le mazar-e-shab

bab-e-qubul-e-muddaa dai-e-khair hai tera
ho dil-e-shab mein nala-kash ai dil-e-be-qarar-e-shab

ab nahin waqf-e-intizar raat ko mil gaya nigar
mera karim-e-kar-saz ho gaya pardar-e-shab

dam-kash-e-aish-o-khurrami tha ye firaq-e-sona-soz
daur-e-nashat ho gaya shukr hai ham-kanar-e-shab

baad-e-firaq rang-e-wasl hota hai ain imbisat
mera wo rahat-e-rawan dil se hua do-chaar-e-shab

is ka shiar kyun na ho pas-e-hijab-e-ashiqan
shab hai hamari raazdan hum jo hain raazdar-e-shab

chhup na saka hijab mein ishwa-e-husn-e-khud-numa
aaya jo mah odh kar chadar-e-zar-nigar-e-shab

jam sharab-e-shauq ka deta hai shokh mah-ru
mast-e-surur kyun na hon 'saqi' mai-gusar-e-shab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close