meri baaton pe duniya ki hansi kam hoti jati hai meri diwangi shayad musallam hoti jati hai tawajjoh ki nazar meri taraf kam hoti jati hai main khush hun ishq ki buniyaad mohkam hoti jati hai zarurat kuchh bhi kahne ki bahut kam hoti jati hai meri surat hi ab shauq-e-mujassam hoti jati hai kabhi tu ne pukara tha mujhe kuchh shak sa hota hai mere kanon mein ek aawaz paiham hoti jati hai mujhe samjhane aae hain ki main rone se baz aaun mere samjhane walon ki nazar nam hoti jati hai abhi sun lo to shayad sun sako tum dil ke naghmon ko ki ab us ki sada kuchh khud-ba-khud kam hoti jati hai wahi dil hai magar ab wo nahin agli si betabi wahi khun hai magar raftar maddham hoti jati hai tujhe mazhab mitana hi padega ru-e-hasti se tere hathon bahut tauhin-e-adam hoti jati hai nashat-e-zist ki zamin hai ab yaad-e-mohabbat hi yahi khud ishq ke zakhmon ka marham hoti jati hai mohabbat hi se kholo tum dil-e-'mulla' ka darwaza yahi is ke liye ab ism-e-azam hoti jati hai