mohabbat se bhi kar-e-zindagi aasan nahin hota bahal jata hai dil gham ka magar darman nahin hota kali dil ki khile afsos ye saman nahin hota ghataen ghir ke aati hain magar baran nahin hota mohabbat ke ewaz mein o mohabbat dhundne wale ye duniya hai yahan aisa are nadan nahin hota dil-e-nakaam ek tu hi nahin hai sirf mushkil mein use inkar karna bhi to kuchh aasan nahin hota hansi mein gham chhupa lena ye sab kahne ki baaten hain jo gham dar-asl gham hota hai wo pinhan nahin hota zamane ne ye takhti kisht-e-arman par laga di hai gul is kyari mein aata hai magar khandan nahin hota kahin kya tum se hum apne dil-e-majbur ka aalam samajh mein wajh-e-gham aati hai aur darman nahin hota maal-e-ikhtilaf-e-bahami afsos kya kahiye har ek qatre mein shorish hai magar tufan nahin hota dayar-e-ishq hai ye zarf-e-dil ki jaanch hoti hai yahan poshak se andaza-e-insan nahin hota ghurur-e-husn teri be-niyazi shan-e-istighna jabhi tak hai ki jab tak ishq be-payan nahin hota sada-e-bazgasht aati hai ayyam-e-guzishta ki ye dil viran ho jaane pe bhi viran nahin hota mohabbat to baja-e-khud ek iman hai are 'mulla' mohabbat karne wale ka koi iman nahin hota