use main talash kahan karun wo uruj hai main zawal hun gham-e-mustaqil mera hal kahan wo jawab hai main sawal hun nae mausamon ki hun aarzu nai rifaton ki hun justuju mujhe tod khwab-e-jahan-e-nau main tilism-e-bab-e-khayal hun mere aaine ki kuduraten meri apni zat ki gard hain mujhe kab malal kisi se ho ki main aap apna maal hun meri bandagi ke ye mashghale ki khudai se bhi muamle kabhi khud hi dst-e-karim hun kabhi khud hi dast-e-sawal hun ye buland-o-past-e-jahan-e-dil kahin hausle kahin marhale kabhi hun main auj-e-khayal par kabhi zoaf-e-jaan se nidhaal hun kabhi khil gai jo koi kali to payam-e-shauq gali gali kabhi aa gai jo hawa-e-gham to main gard-e-baad-e-malal hun kabhi mujh se soz-e-hayat le kabhi mujh se saz-e-hayat sun main faza-e-qarya-e-hijr hun main hawa-e-shahr-e-visal hun kabhi main asir-e-makan hua kabhi mawara-e-zaman hua kabhi aaj mein kabhi kal mein hun main ajib surat-e-haal hun koi apne aap se hai mafar na hon apni zat se ba-khabar main talash apni kahan karun ki main aap apni misal hun main hun apni zat mein khud chaman main hun 'baqar' apne numu ka fan kabhi ghunchagi mein girafta-dil kabhi josh-e-jaan se nihan hun