tirchhi nazar se dekhiye talwar chal gai zakhm-e-jigar ki rah se hasrat nikal gai mal-dal se wasl mein teri mahram nikal gai chutki se ai pari bunat angiya ki mal gai bulbul ko mast karti hai khushbu libas ki shayad nasim itr-e-bahaar aaj mal gai kanghi se itni der mein suljhai ek zulf ai jaan aadhi raat bakhede mein dhal gai mazmun teri zard hina ka na bandh saka manhad ki machhli hath mein aa kar nikal gai itna na kijiye gul-e-rukhsar par ghurur do din ki ye bahaar hai aaj aai kal gai andaz tere haal ki sikhi jo raat ko tegh-e-hilal kabk par ai mah chal gai sar se hamare phir gai shamshir-e-barq-dam ai jaan girte girte ye bijli sambhal gai kya saf gal hain ki na thahre nazar kahin be-sakhta nigah hamari phisal gai rang-e-wafa uda dil-e-sakht-e-raqib se botal mein ye sharab na thahri ubal gai kyun chashm-e-mast ho gae jam-e-sharab aaj kya ho gaya jo aankh tumhaari badal gai mazmun-e-garm par mere tana na kar sake angusht-e-e'tiraaz harifon ki chal gai mitti meri kharab hui rah-e-ishq mein barbaad kar ke un ki sawari nikal gai mujh se hi puchhta hai mera nama-bar pata aisi firaq-e-yar mein surat badal gai ai shokh teri dast-daraazi se nashshe mein gardun tak aaftab ki pagdi uchhal gai de kar mai-e-do-atisha us se lipat gaya do aanchon mein raqib ki kya dal gal gai jannat se bahra-war hon zafar-ganj ai 'munir' jo jo thi aarzu mere dil mein nikal gai