tark-o-talab ke hangamon ko ishq samajhna wahshat hai

tark-o-talab ke hangamon ko ishq samajhna wahshat hai
ishq tahayyur be-payan hai ishq mujassam hairat hai

tum to yaqinan jaante hoge waqai kya ye haqiqat hai
aksar log kaha karte hain ishq bada bad-qismat hai

qafile walo na-waqif ho shayad in asrar se tum
rah-e-talab mein gahe-gahe gumrahi bhi neamat hai

hum diwane kya batlaen hum se na puchho kyon yaro
har tahzib ki mehrabon mein khun-e-bashar ki rangat hai

fikr nahin hai us unsur ka nam mohabbat hai shayad
jis se tahziben banti hain jis se zist ibarat hai

raat ne saz-e-mah-o-anjum par kitni loriyan chhedi hain
ji karta hai ab so jaen ai gham-e-hijr ijazat hai

duniya ko irfan-e-mohabbat dene walon mein 'hairat'
jaane kitne log hain jin ko apne aap se nafrat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close