meri duniya ka mehwar mukhtalif hai na is mein aa ye chakkar mukhtalif hai mujhe aatish-ba-jaan rakkha gaya hai meri mitti ka jauhar mukhtalif hai mujhe likhne se pahle soch lena mera kirdar yaksar mukhtalif hai main khwabon se ziyaada tutti hun ki maujud-o-mayassar mukhtalif hai zara si mauj par hairan mat ho yahan sara samundar mukhtalif hai koi manus khushbu sath utri lahu bola ye nashtar mukhtalif hai sitara hai koi gul hai ki dil hai teri thokar mein patthar mukhtalif hai tere giton ka matlab aur hai kuchh hamara dhun sarasar mukhtalif hai safar ka rang o rukh ab tak wahi hai munadi thi ki rahbar mukhtalif hai kisi jaanib se to aae bashaarat faza badli hai manzar mukhtalif hai