nikal gaya hai koi mar-dhad karte hue bhari-puri meri aankhen ujad karte hue ye rat-jage sar-e-wahshat ghasitte hain mujhe main lautti hun kitabon ko aad karte hue ajib tarz-e-hunar par ade hain log yahan banao sikh rahe hain bigad karte hue na-jaane kaun si rai adu ke hath lagi ki nim-jaan hai us ko pahad karte hue chatan jaisa talluq bhi tut jata hai zara si darz ko gahri darad karte hue hamein ye kaisa darinda sifat daur mila guzar raha hai bahut chir-phad karte hue yahan-wahan ke farebon se tokari bhar li idhar udhar se khushi ka jugad karte hue adal-badal mein hi kheme tabah kar dale yahan na gad wahan se ukhad karte hue bhadak rahe ho musalsal sar-e-sukut-o-sukhan kisi hasad mein khayalon ko bhad karte hue