wada hai ki jab roz-e-jaza aaega tu apne hi jalwon mein ghira aaega ta-hashr yunhi muntazir-e-did rahun chupke se kabhi aa ke bata, aaega main nama-e-amal khula rakkhunga rahmat ko teri josh siwa aaega hasrat-e-gah-e-alam mein tamanna ka qadam illa ki taraf surat-e-la aaega khali bhi to kar khana-e-dil duniya se is ghar mein meri jaan khuda aaega dariya mein bahut lahr hain khwabida abhi jagengi to tufan bada aaega mahfil mein sabhi dost nahin aate hain dushman bhi koi dost-numa aaega ab tab na launga ye andesha hai manzar jo koi hosh-ruba aaega niklo bhi kabhi sud-o-ziyan se warna kuche mein tere kaun bhala aaega