meri ghazal ki tarah us ki bhi hukumat hai tamam mulk mein wo sab se khub-surat hai kabhi kabhi koi insan aisa lagta hai purane shahr mein jaise nai imarat hai jami hai der se kamre mein ghibaton ki nashist faza mein gard hai mahaul mein kudurat hai bahut dinon se mere sath thi magar kal sham mujhe pata chala wo kitni khub-surat hai ye zairan-e-ali-gadh ka khas tohfa hai meri ghazal ka tabarruk dilon ki barakat hai