musalman ke lahu mein hai saliqa dil-nawazi ka murawwat husn-e-alam-gir hai mardan-e-ghazi ka shikayat hai mujhe ya rab khudawandan-e-maktab se sabaq shahin bachchon ko de rahe hain khak-bazi ka bahut muddat ke nakhchiron ka andaz-e-nigah badla ki main ne fash kar dala tariqa shah-bazi ka qalandar juz do harf-e-la-ilah kuchh bhi nahin rakhta faqih-e-shahr qarun hai lughat-ha-e-hijazi ka hadis-e-baada-o-mina-o-jam aati nahin mujh ko na kar khara-shigafon se taqaza shisha-sazi ka kahan se tu ne ai 'iqbaal' sikhi hai ye darweshi ki charcha padshahon mein hai teri be-niyazi ka