sans zanjir ki manind saza ki gai hai yani hijrat meri qismat mein rawa ki gai hai main kisi zulm pe khamosh nahin rah sakta ye baghawat mujhe wirse mein ata ki gai hai ain-mumkin hai mere dost main bakhsha jaun aaj mere liye masjid mein dua ki gai hai baad-az karb-o-bala lafz ke mani badle ism-e-abbas se tafsir-e-wafa ki gai hai is liye mani ujale ki alamat hai 'suhaib' raushni lafz ki aankhon mein fana ki gai hai