us ka jawab milna jahan mein muhaal hai wo husn-e-la-jawab khud apni misal hai ye aur baat hai ki na hon un ko iltifat wo khub jaante hain hamara jo haal hai talib koi hai ek karam ki nigah ka kije na rad kisi ka ye pahla sawal hai jitne hain dur utne hi dil ke qarib hain hum ko to daur-e-hijr bhi daur-e-visal hai hum baada-kash to mai ko samajhte hain zindagi ai waiz-e-buzurg tera kya khayal hai duniya mein ba-kamal milenge gali gali main be-kamal hun yahi mera kamal hai 'shaeq' teri nazar ki jawani na jaegi pinhan teri nazar mein kisi ka jamal hai