sina dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun chikh chikh kar na gala chhil le koi sabit hua sukun-e-dil-o-jaan kahin nahin rishton mein dhundhta hai to dhunda kare koi tark-e-talluqat koi masala nahin ye to wo rasta hai ki bas chal pade koi diwar jaanta tha jise main wo dhul thi ab mujh ko e'timad ki dawat na de koi main khud ye chahta hun ki haalat hun kharab mere khilaf zahr ugalta phire koi ai shakhs ab to mujh ko sabhi kuchh qubul hai ye bhi qubul hai ki tujhe chhin le koi han thik hai main apni ana ka mariz hun aakhir mere mizaj mein kyun dakhl de koi ek shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikr kash us zaban-daraaz ka munh noch le koi