meri inayaton ke talabgar aa gae rahmat pukar utthi gunahgar aa gae ek lamha-e-sukun mila muddaton ke baad us ko bhi chhinne mere gham-khwar aa gae hum na-sipas log kahan ja ke ab rahen basti mein sare shahr ke hushiyar aa gae ek shakhs kar raha tha gham-e-ishq ka ilaj hairat se dekhne use bimar aa gae be-manzari shikasta-dili khokhli hansi ye shahr-e-arzu hai to be-kar aa gae do-chaar hi qadam to chale chain se 'shamim' phir us ke baad raste dushwar aa gae