meri izzat badh gai ek pan mein farq kya aaya tumhaari shan mein un ko dekha to kaha yun kan mein kyun khalal dala mere iman mein aashiqi hai bahar-e-napaida-kanar kashti-e-dil aa gai tufan mein hai yahi pahchan baali umr ki baaliyan wo do faqat hain kan mein tere sadqe ke liye hazir hain sab dur samundar mein jawahar kan mein de ke dil us but ko apna kar liya is tijarat mein nahin nuqsan mein kya mai-e-gul-gun se raunaq ghat gai rang balki aa gaya iman mein us but-e-kafir ko sajda kar liya is se kya aaya khalal iman mein tum pari ka fakhr ho huron ka naz kash hote firqa-e-insan mein us ke rukhsaron pe hai khat ki numud hashiya ye hai naya quran mein gesu-e-pechan tere rukhsar par sura-e-wallail hai quran mein aariz-e-taban pe hai khat ki numud habshiyon ki fauj ya iran mein kah do pesh aaya kare achchhi tarah chal na jae mujh mein aur darban mein wo karen zulm aur tum lab par na lao warna gustakhi hai un ki shan mein sunte sunte waizon se hajw-e-mai zoaf sa kuchh aa gaya iman mein yun kahunga wun kahunga tha khayal ru-ba-ru kuchh bhi na aaya dhyan mein us ki qudrat se nahin 'parwin' baid rai ko parbat bana de aan mein