uljhi thi zulf us ne sanwara sanwar gai shane ko kya khabar ye bala kis ke sar gai aaine bhi banae to dekha na apna munh ab tak na khadd-o-khal pe apne nazar gai yun to rawaq-e-daulat-o-din bhi the saya-dar lekin thakan gharib ki su-e-shajar gai ahl-e-nazar na mujh pe hansen meri ye nazar kuchh to barun-e-halqa-e-hadd-e-nazar gai raste mein kya dhara tha ki rukti kahin nigah dekha tumhein to umr-e-gurezan thahar gai unchi hui fughan to gai aasman ke par utra jo arsh se to dilon mein utar gai manzil to apni hadd-e-nazar hi pe thi 'jamil' pahunche wahan to aur kuchh aage nazar gai