yahin kahin koi aawaz de raha tha mujhe chala to sat samundar ka samna tha mujhe main apni pyas mein khoya raha khabar na hui qadam qadam pe wo dariya pukarta tha mujhe zamane baad un aankhon mein ek sawal sa tha ki ek bar palat kar to dekhna tha mujhe ye panw ruk gae kyun be-nishan manzil par yahan se ek naya rasta nikalna tha mujhe ye zindagi jo tere nam se ibarat thi ise kuchh aur banana sanwarna tha mujhe rafiq-e-gardish-e-sayyargan se puchhunga wo kaun tha jo khalaon mein dhundta tha mujhe tamam tark-e-marasim ke bawajud 'ashfaq' wo zer-e-lab hi sahi gunguna raha tha mujhe