mohabbaton ki ye wardaten koi sunega to kya kahega ye bahki bahki tumhaari baaten koi sunega to kya kahega raqabaton ki qayamaton se khandar mein tabdil ho rahi hain hamari chahat ki kaenaten koi sunega to kya kahega tumhaare khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tum ne ye an-kahi si tumhaari baaten koi sunega to kya kahega hami hain mazlum hum hi zalim hami hain maqtul hum hi qatil hami hain mohre hami bisaten koi sunega to kya kahega tere tasawwur ka aana jaana mere takhayyul ki wadiyon mein baghair dulhe ki ye baraaten koi sunega to kya kahega