tum apni yaadon ki kahkashan se saja hua aasman ban kar mere tasawwur pe chha bhi jao mohabbaton ka jahan ban kar ghataen baadal ye chand tare hasin qudrat ke sab nazare chaman mein titli gagan mein panchhi ude hain fitrat ki shan ban kar agarche tufan sar uthae zamana yun hi hamein satae hamari jurat rahe salamat khade hain hum to chatan ban kar hamin ne sincha hai is chaman ko hamin se urdu ka bankpan hai hamare khun-e-jigar ki khushbu mahak rahi hai zaban ban kar faza mein naghme mohabbaton ke zamin pe charche sadaqaton ke karenge mahaul aisa barpa hum amn ke tarjuman ban kar yazidi bai'at ka zikr chhodo husaini fitrat se nata jodo tumhin rahoge hamesha zinda jahan mein haq ka nishan ban kar ajab zamana tha wo zamana ajab hai un ka hasin fasana wo jin ke chehron se nur barse rahen jo sab ki aman ban kar hai man ke aanchal ki thandi chhanw to kyon na apni thakan mitaun wo meri hasti ke garm sahra pe rahti hai saeban ban kar 'shajia' ulfat ke git gao rah-e-talab mein ye jaan lutao rahoge zinda hikayaton mein wafa ki tum dastan ban kar