meri koi tarif nahin hai main waqfon waqfon mein hun jaane kin lamhon mein nahin hun jaane kin lamhon mein hun baqi hissa pada hua hai jaane kis tariki mein main bas utna hi zinda hun jis had tak lafzon mein hun sanson ka aana jaana mere hone ki dalil nahin do sanson ke bich khala karne wale lamhon mein hun muddat guzri ek ibaadat mein fariyaad guzari thi main apni hi zat ke ghar mein na-jaez qabzon mein hun wo uslub kahan se hasil ho jo mujh ko nazm kare razmiyye ki ek katha chhoti chhoti bahron mein hun